Wednesday, August 23, 2006

He Who Sculpts Words

Meri teri nigaah mein jo laakh intezaar hain
jo mere tere tan badan mein laakh dil figaar hain
jo meri teri ungaliyon ki behisii se sab qalam nazaar hain
jo mere tere shehar ki har ik gali mein
mere tere naqsh-e-paa ke be-nishaan mazaar hain
jo meri teri raat ke sitaare zakhm zakhm hain
jo meri teri subah ke gulaab chaak chaak hain
ye zakhm saare be-davaa ye chaak saare be-rafuu
kisi pe raakh chaand ki kisi pe aus kaa lahuu
ye hain bhi yaa nahin bataa
ye hai ki mahaz jaal hai
mere tumhaare ankabuut-e-vaham kaa bunaa huaa
jo hai to is kaa kyaa karein
nahin hai to bhi kyaa karein
bataa, bataa, bataa, bataa....

-Faiz Ahmed Faiz

0 Comments:

Post a Comment

<< Home