Saturday, August 13, 2005

14 August: In "Dependance" Day

INTESAAB: by Faiz Ahmed Faiz
Aaj ke naam
Aur
Aaj ke ghum ke naam
Aaj ka ghum ke hai zindagi k bhare gulistan se khafaa
Zard patton ka ban
Zard patton ka ban jo mera des hai
Dard ka anjuman jo mera des hai
Kilarkon ki afsurdaa jaanon ke naam
Kirmkhurdaa dilon aur zubanon ke naam
Post-mainon ke naam
Taange-waalon ke naam
Rail-baanon ke naam
Kaarkhanon ke bhole jiyaalon ke naam
Baadshah-e-jahan, wali-e-maasiva, nae-bullah-e-fil-arz, dahkaan ke naam.

Un dukhi maaon ke naam
Raat mein jin ke bachey bilaktey hain aur
Neend ki maar khaaye huay baazoon se sanbhalte nahi
Dukh batate nahi
Minatton zaariyon se bahalte nahi.

Un hasinaaon ke naam
Jin ki aankhon ke gul
Chilmanon aur dareechon ki bailon pe bekaar khil khil ke
Murjhaa gaye hain

Un biyahataaon ke naam
Jinke badan
Be-muhabbat riyakaar sejon pe saj saj ke uktaa gaye hain
Bewaaon ke naam
Katehriyon aur galiyon, muhallaaon ke naam
Jinaki naapaak khaashaak se chand raaton
Ko aa aa ke karta hai aksar wuzuu
Jinaki saayon mein karti hai aah-o-bukaa
Aanchalon ki hina
Chooriyon ki khanak
Kaakulon ki mehek
Arjumand seenon ki apne paseeney mein jalne ki boo.

Parhane-waalon ke naam
Woh jo ashab-e-tablo-alam
Ke daron pe kitaab-o-qalam
Kaa takazaa liyay, haath phailaaye
Pahunche, magar laut k ghar naa aye
Woh mausam jo bholpan mein
Wahaan apne nanhe chiraaghon pe lau ki lagan
Le ke pahunche jahaan
Baant rahe they ghata-tope, Be-unt raaton ke saaye

Un aseeron ke naam
Jin ke seenon mein fardaa ka shabatab gauher,
Jail-khaanon ki shoreedaa raaton ki sar sar mein
Jal jal ke anjum-numaa ho gaye hain................


My humble addition:(Saleha Waqar)
Un deeyon ke naam,
Jo aag mein thande so gaye hain,
Un laharon ke naam,
Jo samandar ki talwaar tale,
Jhukne se pehlay hi patharon mein qaid ho gayein hain..
Uss SOCH ke naam,
Jo sach ke baghair zakhmi hai
Jis ka lahu sachai ka dard,
Jis ki awaaz uss dard ka rang.

Aur hum, uss rang mein akailay,
Uss sachai mein akailay.
K humare labon mein zanjeerain pari hain,
Magar,
hamari soch pe khare pahredaar,
Salakhon ke beech,
Silwaton se chaak,
Roshni,
Ko rok nahi sakte.
Ke yeh roshni, aur sirf yehi roshni,
Azaadi hai.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home