Wednesday, July 20, 2005

Khayal

Maqsad, aur darwaaze ki aout mein betha aik khayal.
Jo chupta hai, bhagta hai,
Aur jab pakra jaata hai, to baarish k khanaktey ghungroon ki tarah,
Machal saa jaata hai.
Khayal.
Jis ki awaaz aaj aftaab ki garmi samait kar,
Rangon k bareek dhaago mein piroti hai,
Jis ki boondon mein bahaar behti hai.
Aur hum, jo khayal se dur hain,
Aaj khamoshi se
Usse dekh rahe hain.


K humme bhi awaz ki talaash hai.
Uss rang ki talaash hai.

1 Comments:

Blogger Mumra said...

khayal toh hai hee aik afwah
alfaz se hee soch hai

alfaz toh phir bhee bewafa,
lekin khayal se duur kon... ?

1:14 PM  

Post a Comment

<< Home